COLLGE KI LAARI
Poet Jaan Nisar Akhtar
Type
By
Uroosa Emaan
Fazaaon Mein Hai Subh Ka Rang Taari...*
Gai Hai Abhi GIRLIS COLLGE KI LAARI...*
Gai Hai Abhi Goonjti Gungunaati...*
Lachkti Hui Si Chhalkti Hui Si...*
Behkti Hui Si Mehkti Hui Si...*
Wo Sarrkon Pe Phoolon Ki Dhaari Si Banti...*
Idhar Udhar Se Haseenon Ko Chunti...*
Jhalkte Wo Sheeshon Mein Shaadab Chehre,
Wo Kaliyan Si Khilti Munh Andhere...*
Wo Maathe Pe Saarrhi K Rangeen Kinaare...*
Sehar Se Nikalte Shafaq K Ishaare...*
Kisi Ki Ada Se Ayaan Khush Mazaqi....*
Kisi Ki Nigaahon Mein Kuch Neend Baqi...*
Kisi Ki Nazar Mein Mohabbat K Dohe...*
Sakhi Ri Ye Jeevan Piya Bin Na Sohe,
Ye Khirrki Ka Rangeen Sheesha Giraye....*
Wo Sheeshe Se Rangeen Chehra Milaye...*
Ye Chalti Zameen Par Nigaahein Jamati...*
Wo Honton Mein Apne Qalam Ko Dabaati...*
Ye Khirrki Se Ik Haath Baahir Nikale...*
Wo Zaanoo Pe Girti Kitaabein Sanbhaale....*
Kisi Ko Wo Har Baar Taivri Si Charrhti...*
Dukaanon K Takhte Adhoore Se Parrhti....*
Koi Ik Taraf Ko Samt'Ti Hui Si....*
Kinaare Ko Saarrhi K Bat'Ti Hui Si....*
Wo Laari Mein Goonje Huye Zamzame Se...*
Dabi Muskuraahat Sabk Qehqe Se...*
Wo Lehjon Mein Chaandi Khankti Hui Si...*
Wo Nazron Se Kaliyaan Chatkti Hui Si.....................*
Sehar Se Nikalte Shafaq K Ishare....*
Ayaan Kush Mazaqi....*
Kisi Ki Nigaahon Mein Kuch Neend Baqi.....*
Kisi Ki Nazar Mein Mohabbat K Dohe.....*
Sakhi Ri Ye Jeevae Piya Bin Na Sohe.....*
Saron Se Wo Aanchal Dhalkte Huye Se....*
Wo Shaanon Se Saghar Chhalkte Huye Se...*
Jawani Nigaahon Mein Behki Hui Si...*
Mohabbat Takhyel Mein Behki Hui Si...*
Wo Aaps Ki Chherrein
Wo Jhoote Fasaane...*
Koi In Ki Baaton Ko Kese Na Maane....?
Fasana Bhi In Ka,
Tarana Bhi In Ka....*
Jawaani Bhi In Ki,
Zamaana Bhi In Ka....................*
.
Book
Kulyaat Jaan Nisar Akhtar
Comments
Post a Comment