Insha Jee Utho Ab Kooch Karo Is Shehar Mein Ji Ko Lagana Kaya ? Wahshi Ko Sakoon Se Kaya Matlab Jogi Ka Nagar Mein Thikana Kaya ?

Poet Inb-E-Insha

Collcetion Uroosa Emaan

Insha Jee Utho Ab Kooch Karo Is Shehar Mein Ji Ko Lagana Kaya ?

Wahshi Ko Sakoon Se Kaya Matlab Jogi Ka Nagar Mein Thikana Kaya ?

Is Dil K Wareeda Daman Ko
Dekho To Sahi Socho To Sahi,

Jis Jholi Mein 100 Chhaid Huye,
Us Jholi Ka Phelana Kaya?

Shab Beeti Chaand Bhi Doob Chala,
Zanjeer Parri Darwaze Par,

Kion Der Gaye Ghar Lote Ho?
Sajni Se Karo Ge Bahana Kaya?

Phir Hijar Ki Lambi Raat Mein Sanjhok Ki To Sahi Ak Gharri,

Jo Dil Mein Hai Lab Pe Aane Do,
Sharmana Kaya Ghabrana Kaya?

Us Roz Jo Un Ko Dekha Hai Ik Khawab Ka Aalam Lagta Hai,

Us Roz Jo Unse Baat Hui Wo Baat Thi Afsana Kaya?

Us Husan K Sache Muati Ko Hum Dekh Sakein Par Chhou Na Sakein,

Jise Dekh Sakein Par Chhou Na Sakein Wo Dolt Kaya Wo Khazana Kaya,

Jab Shehar K Log Na Rasta Dein
Kion Na Ban Mein Ja Basram Karein,

Deewanoon Ki Si Na Baat Kare?
To Aur Kare Deewana Kaya..............?


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai