Khawaab Kaya Dekhe Koi Neend K Anjaam K Bad? Kis Ko Jeene Ki Hawos ? Hashar K Hangaam K Bad

Poetess Parveen Shakir

Type By
Uroosa Emaan

Khawaab Kaya Dekhe Koi Neend K Anjaam K Bad?

Kis Ko Jeene Ki Hawos ? Hashar K Hangaam K Bad ?

Ishq Ne Seekh Hi Li Waqat Ki Taqseem K Ab,

Wo Mujhe Yaad To Aata Hai
Mgar Kaam K Bad,

Aik Hi Isam Ko Baarish Ne Hara Rakha Hai,

Pairr Pe Naam To Likhe Gaye Us Naam K Bad,

Handse Gidah Ki Tarah Din Mera Kha Jate Hain,

Huraf Milne Mujhe Aate Hain Zara Sham K Bad,

Muat Wo Saqi K Jis K Kabhi Thake Nahi Hath,

Bharti Jaye Gi Sada Jaam Wo Ik Jaam K Bad,

Thak K Main Beth Gai Ab Mgar Ay Saya Talabb,

Kis Ki Kheeme Pe Nazar Jati Thi Har Gaam K Bad........?
.
Book 

Khud Kalaami


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo