Kon Kehta Hai Mere Dais Main Karobaar Mande Parr Gaye? Main Yahan Gurda Baich Sakta Hon,Gurda Khareed Sakta Hon,

ﮐﻮﻥ ﮐﮩﺘﺎ ﻣﯿﺮﮮ ﺩﯾﺲ ﻣﯿﮟ ﮐﺎﺭﻭﺑﺎﺭ ﻣﻨﺪﮮ ﭘﮍ ﮔﺌﮯ ﮨﯿﮟ؟ 

ﻣﯿﮟ ﯾﮩﺎﮞ ﮔﺮﺩﮦ ﺑﯿﭻ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﮔﺮﺩﮦ ﺧﺮﯾﺪ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ 

ﻋﻮﺭﺕ ﮐﯽ ﻋﺰﺕ ﮐﯿﺎ ﭼﯿﺰ ﮨﮯ ﭘﻮﺭﯼ ﻋﻮﺭﺕ ﺑﯿﭻ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﻋﻮﺭﺕ ﺧﺮﯾﺪ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮ 

ﻣﯿﮟ ﻭﻭﭦ ﺑﯿﭻ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﻭﻭﭦ ﺧﺮﯾﺪ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ

ﻣﯿﮟ ﺑﭽﮯ ﺑﯿﭻ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﺑﭽﮯ ﺧﺮﯾﺪ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ


ﻣﯿﮟ ﻓﺘﻮﯼٰ ﺑﯿﭻ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﻓﺘﻮﯼٰ ﺧﺮﯾﺪ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ

 ﺍﻧﺼﺎﻑ ﺧﺮﯾﺪ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﺍﻧﺼﺎﻑ ﺑﯿﭻ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ

ﯾﮩﺎﮞ ﺟﺞ ﺑﮑﺘﮯ ﮨﯿﮟ، ﻭﮐﯿﻞ ﺑﮑﺘﮯ ﮨﯿﮟ، 

ﯾﮩﺎﮞ ﻋﻠﻢ ﺑﮑﺘﺎ ﮨﮯ ﯾﮩﺎﮞ ﺩﯾﻦ ﺑﮑﺘﺎ ﮨ

ﯾﮩﺎﮞ ﺗﻼﻭﺕ ﮐﮯ ﺩﺍﻡ ﻣﻠﺘﮯ ﮨﯿﮟ ﯾﮩﺎﮞ ﻧﻌﺘﯿﮟ ﺑﯿﭽﯽ ﺟﺎﺗﯽ ﮨﮯ

 ﯾﮩﺎﮞ ﺷﺎﻋﺮ ﮐﮯ ﺍﯾﮏ ﺍﯾﮏ ﻟﻔﻆ ﮐﺎ ﺑﮭﺎﺅ ﻟﮕﺘﺎ ﮨﮯ

 ﯾﮩﺎﮞ ﺍﺩﯾﺐ ﮐﮯ ﮬﺮ ﭘﯿﺮﮮ ﻓﻘﺮﮮ ﮐﯽ ﺍﻟﮓ ﺍﻟﮓ ﻗﯿﻤﺖ ﻟﮕﺘﯽ ﮨﮯ۔

ﯾﮩﺎﮞ ﺧﻮﻥ ﺑﮑﺘﺎ ﮨﮯ ﯾﮩﺎﮞ ﺳﮑﻮﻥ ﺑﮑﺘﺎ ﮨﮯ۔

 ﯾﮩﺎﮞ ﺟﮭﻮﭦ ﺑﻮﻟﻨﮯ ﮐﯽ ﻗﯿﻤﺖ ﻭﺻﻮﻝ ﮐﯽ ﺟﺎﺗﯽ ﮨﮯ 

ﯾﮩﺎﮞ ﺳﭻ ﺑﮭﯽ ﺍﭼﮭﯽ ﻗﯿﻤﺖ ﭘﺮ ﻧﯿﻼﻡ ﮨﻮﺟﺎﺗﺎ ﮨﮯ۔

ﯾﮩﺎﮞ ﺑﺎﭖ ﺑﯿﭩﮯ ﺳﮯ ﺍﺱ ﮐﯽ ﭘﺮﻭﺭﺵ ﮐﯽ ﻗﯿﻤﺖ ﻟﯿﺘﺎ ﮨﮯ

 ﯾﮩﺎﮞ ﺑﯿﭩﺎ ﺑﺎﭖ ﺳﮯ ﺍﭘﻨﯽ ﺧﺪﻣﺘﻮﮞ ﮐﮯ ﺭﻭﭘﮯ ﮐﮭﺮﮮ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯ،

ﯾﮩﺎﮞ ﺷﺮﺍﻓﺖ ﺑﮭﯽ ﺁﭖ ﺧﺮﯾﺪ ﺳﮑﺘﮯ ﮨﯿﮟ

 ﯾﮩﺎﮞ ﺭﺳﻮﺍﺋﯽ ﺑﺪﻧﺎﻣﯽ ﮐﯽ ﺑﮭﯽ ﻣﻨﮧ ﻣﺎﻧﮕﯽ ﺭﻗﻢ ﻣﺎﻧﮕﯽ ﺟﺎﺗﯽ ﮨﮯ

ﯾﮩﺎﮞ ﮬﺮ ﮐﺎﺭﻭﺑﺎﺭﯼ ﺟﻠﺪﯼ ﻣﯿﮟ ﮨﮯ ﮐﮧ ﺍﺳﮯ ﺧﺮﯾﺪﻧﮯ ﮐﮯ ﻓﻮﺭﺍ " ﺑﻌﺪ ﮐﭽﮫ ﺑﯿﭽﻨﺎ ﮨﻮﺗﺎ ﮨﮯ

ﻣﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﺧﺮﯾﺪﺍﺭ ﺗﻮ ﺑﮭﯽ ﺧﺮﯾﺪﺍ

ﻣﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﺩﮐﺎﻧﺪﺍﺭ ﺗﻮ ﺑﮭﯽ ﺩﮐﺎﻧﺪﺍﺭ

 ﮐﺎﺭﻭﺑﺎﺭ ﮐﺎ ﺍﯾﺴﺎ ﺟﻤﻌﮧ ﺑﺎﺯﺍﺭ ﺟﺲ ﮐﺎ ﮨﻔﺘﮧ ﺍﺗﻮﺍﺭ ﮐﺒﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﺁﺗﺎ۔ﯾﮩﺎﮞ ﻋﺒﺎﺩﺗﻮﮞ ﮐﺎ ﺑﮭﯽ ﭘﺮﻭﺭﺩﮔﺎﺭ ﺳﮯ ﺳﻮﺩﺍ ﻃﮯ ﮐﺮ ﻟﯿﺎ ﺟﺎﺗﺎ ﮨﮯ

 ﺍﺗﻨﺎ ﺩﮮ ﮔﺎ ﺗﻮ ﺍﺗﻨﮯ ﻧﻔﻞ ﭘﮍﮬﻮﮞ ﮔﺎ۔

 ﺍﺗﻨﺎ ﻣﻨﺎﻓﻊ ﮨﻮﺍ ﺗﻮ ﺍﺗﻨﮯ ﺭﻭﺯﮮ ﺭﮐﮭﻮﮞ ﮔﺎ۔ 

ﻣﺴﺠﺪ ﻣﯿﮟ ﺳﻮﺩﮮ ﻣﻨﺪﺭ ﻣﯿﮟ ﺳﻮﺩﮮ ﭼﺮﭺ ﻣﯿﮟ ﺳﻮﺩﮮ ﺩﺭﺑﺎﺭﻭﮞ ﭘﺮ ﺳﻮﺩﮮ، ۔ ۔ ۔ ۔ ۔ ۔ 

 ﭼﻠﻮ ﺁﺅ ﺁﺝ ﺍﯾﮏ ﻧﯿﺎ ﺳﻮﺩﺍ ﮐﺮﮐﮯ ﺩﯾﮑﮭﯿﮟ

 ﭼﻠﻮ ﭘﺴﯿﻨﮧ ﺩﮮ ﮐﺮ ﺁﻧﺴﻮ ﺧﺮﯾﺪﯾﮟ۔ 

ﭼﻠﻮ ﭘﮭﻮﻝ ﺳﮯ ﺧﻮﺷﺒﻮ ﺧﺮﯾﺪ ﮐﺮ ﺑﻠﺒﻞ ﮐﮯ ﻧﻐﻤﮯ ﮐﮯ ﻋﻮﺽ ﺍﺳﮯ ﺑﯿﭻ ﺩﯾﮟ

 ﭼﻠﻮ ﻧﯿﻨﺪ ﺑﯿﭻ ﮐﺮ ﺧﻮﺍﺏ ﺧﺮﯾﺪﯾﮟ۔ ﭼﻠﻮ ﻋﺒﺎﺩﺕ ﺩﮮ ﮐﺮ ﺍﺱ ﺳﮯ ﻣﺤﺒﺖ ﻟﮯ ﻟﯿﮟ

 ﭼﻠﻮ ﺩﮬﻮﭖ ﺑﺎﺭﺵ ﭼﺎﻧﺪﻧﯽ ﮨﻮﺍ ﺍﺱ ﺳﮯ ﺷﮑﺮ ﮐﮯ ﺑﺪﻟﮯ ﺣﺎﺻﻞ ﮐﺮﯾﮟ۔

ﭼﻠﻮ ﻇﺎﻟﻢ ﺳﮯ ﻇﻠﻢ ﺧﺮﯾﺪ ﮐﺮ ﺍﺳﮯ ﺍﻧﺴﺎﻧﯿﺖ ﺩﮮ ﺩﯾﮟ۔ ﭼﻠﻮ ﮐﺴﯽ ﺳﮯ ﺩﺭﺩ ﻟﮯ ﮐﺮ ﺍﺳﮯ ﺧﻮﺷﯽ ﺩﮮ ﺩﯾﮟ

 ﭼﻠﻮ ﺑﮯ ﻭﻓﺎﺋﯽ ﺧﺮﯾﺪ ﮐﺮ ﻭﻓﺎ ﺩﮮ ﺩﯾﮟ۔ 

ﺁﺅ ﺍﯾﮏ ﻃﻮﺍﺋﻒ ﺳﮯ ﺍﺱ ﮐﯽ ﻣﺠﺒﻮﺭﯼ ﺧﺮﯾﺪ ﮐﺮ ﺍﺳﮯ ﻋﺰﺕ ﺩﮮ ﺩﯾﮟ

 ﺁﺅ ﺁﺅ ﻣﯿﺮﮮ ﺳﺎﺗﮫ ﺁﺅ ﻭﻗﺖ ﮐﻢ ﮨﮯ ﯾﮧ ﻧﮧ ﮨﻮ ﺩﮐﺎﻧﯿﮟ ﺟﻞ ﮐﺮ ﺧﺎﮐﺴﺘﺮ ﮨﻮ ﺟﺎﺋﯿﮟ

 ﯾﮧ ﻧﮧ ﮨﻮ ﺯﻣﯿﻦ ﻗﺪﻣﻮﮞ ﮐﮯ ﻧﯿﭽﮯ ﺳﮯ ﺍﭘﻨﺎ ﺩﺍﻣﻦ ﺳﻤﯿﭧ ﻟﮯ

Kon Kehta Hai Mere Dais Main Karobaar Mande Parr Gaye?

Main Yahan Gurda Baich Sakta Hon,Gurda Khareed Sakta Hon,

Aurat Ki Izzat Kia Cheez Hai,Pori Aurat Baich Sakta Hon,Khareed Sakta Hon,

Main Vote Baich Sakta Hon Vote Khareed Sakta Hon,

Main Bache Baich Sakta Hon Bache Khareed Sakta Hon,

Main Fitwa Baich Sakta Hon Fitwa Khareed Sakta Hon,

Insaaf Khareed Sakta Hon Insaaf Baich Sakta Hon,

Yahan Jadge Biktay Hain,Wakeel Biktay Hain,Yahan ilam bikta hai,Yahan Deen Bikta Hai,

Yahan Tilawat K Daam Miltay Hain,Yahan Na'atein Baichi Jati Hain,

 Yahan Shair K Aik Aik Lafz Ka Bhao Lagta Hai,

Yahan Adeeb K Har Pare Fiqre Ki Alag Alag Qeemat Lagti Hai.


Yahan Khoon Bikta Hai,Yahan Sukoon Bikta Hai,Yahan Jhoot Bolney Ki Qeemat Wasool Ki Jati hai,

Yahan Sach Bhi Achi Qeemat Par Neelaam Ho Jata Hai,

Yahan Baap Betey Se Is Ki Parwarish Ki Qeemat Leta Hai,

Yahan Beta Baap Se Apni Khidmaton  K Ropai Khare Karta Hai,

Yahan Sharafat Bhi Ap Khareed Saktey Hain,Yahan Ruswaai Badnaami Ki Bhi Monah Maangi Raqam Maangi Jati Hai,

Yahan Har Karobaari Jaldi Main Hai,Keh Ise Khareedne K Foran Baad Kuch Baichna Hota Hai,

Main Bhi Khareedaar Tu Bhi Khareedaar,

Main Bhi Dukaandaar Tu Bhi Dukaandaar,

Karobaar Ka Aisa Jummah Bazaar,Jis Ka Hafta Itwaar Kabhi Nahi Aata,

Yahan Ibadaton Ka Bhi Parwardegaar Se Soda Tey Kar Lia Jata Hai,

Itna Dega To Itne Nafal Parhon Ga,

Itna Manafa Howa To Itne Roze Rakhon Ga,

Masjid Mein Sodey,Mandir Mein Sodey,Church Mein Sodey,Darbaaron Par Sodey......

Chalo Aao Aaj Aik Naya Soda Kar K Dekhein,

Chalo Paseena De Kar Aansoo Khareeden,

Chalo Phool Se Khushboo Khareed Kar Bulbul K Naghme K Ewaz Ise Baich Den,

Chalo Neend Baich Kar Khuwaab Khareeden,

Chalo Ibadat De Kar Is Se Muhabbat Le Lein,

Chalo Dhoop Barish Chaandni Hawa Is Se Shukar K Badle Haasil Karein,

Chalo Zalim Se Zulam Khareed Kar Ise Insaniyat De Dein,

Chalo Kisi Se Dard Le Kar Ise Khushi De Dein,

Chalo Be-Wafai Khareed Kar Wafa De Dein,

Aao Aik Tawaif Se Uski Majboori Khareed Kar Ise Izzat De Dein,

Aao Aao Mere Saath Aao Waqt Kam Hai Ye Na Ho Dukanen Jal Kar Khakestar Ho Jaa'en

Ye Na Ho Zameen Qadmon K Neeche Se Apna Daman Samait Le........!

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo