Main Chalte Chalte Apne Ghar Ka Rasta Bhool Jata Hoon, Jab Us Ko Yad Karta Hoon To Kitna Bhool Jata Hoon

Poet Not Confirm

Collection Uroosa Emaan

Main Chalte Chalte Apne Ghar Ka Rasta Bhool Jata Hoon,

Jab Us Ko Yad Karta Hoon To Kitna Bhool Jata Hoon,

Zaroori Zaabte Fori Faraiz Qeemti Qadrain,

Main Us Ko Dekh Kar Sara Tamasha Bhool Jata Hoon,

Kahan Tak Gaein Ge Donoun ? Kahan Se Wapasi Hogi ?

Wo Kiya Kuch Yad Rakhta Hai
Main Kaya Kaya Bhool Jata Hoon,

Naseehatein Dil Nasheen Rakhta Hoon Main Un Khamosh Aankhoon Ki,

Magar Banda Bashar Hoon Rafta Rafta Bhool Jata Hoon,

Bhula Deta Hoon Gar Wo Rokta Hai Pas Aane Se,

Dobaara Rokta Hai Main Dobaara Bhool Jata Hoon,

Zuaf Dimaagh Is Se Barrh Kar Kaya Hoga?

Keh Jata Hoon Waha Aur Wapas Aana Bhool Jata Hoon...............!


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha