Man Thakne Laga Hai Tan Samete, Baarish Ki Hawa Mein Ban Samete

Poetess Parveen Shakir

Type By
Uroosa Emaan

Man Thakne Laga Hai Tan Samete,

Baarish Ki Hawa Mein Ban Samete,

Aisa Na Ho Chaand Bheed Pale,

Peraahin-E-Gul Shikan Samete,

Soti Rahi Aankh Din Charrhe Tak,

Dulhan Ki Tarah Thakan Samete,

Guzra Hai Chaman Se Kon Aisa,

Bethi Hai Hawa Badan Samete,

Shakhoon Ne Kalli Ko Bad Dua Di,

Baarish Tera Bhol Pan Samete,

Aankhoon K Taveel Raat Jagoon Par,

Chaand Aaya Bhi To Gehan Samete,

Ahwaal Mera Wo Poochta Tha,

Lahje Mein Barri Chubhan Samete,

Andar Se Shiksata Wo Bhi Nikla,

Lekin Wohi Baank Pan Samete,

Sham Aaye To Hum Bhi Ghar Ko Lotein,

Chirriyoun Ki Tarah Thakan Samete,

Khud Jang Se Dasat Kash The Hum Log,

Jazbaat Mein Aik Rin Samete,

Aankhoon K Charaagh Hum Bujha Dein,

Souraj Bhi Magar Kiran Samete,

Bas Pyar Se Mil Rahe Hain Kuch Log,

Chamkeele Badan Mein Phhan Samete,

Phir Hone Lagi Hoon Reza Reza,

Aaye Mujhe Mera Fun Samete,

Gheroun K Liye Bikhar Gai Hoon,

Ab Mujh Ko Mera Watan Samete....!

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo