Parchhaaiyon Ki Anjuman Aaraai Day Gya, Kitni Ajeeb Wo Mujhe Tanhaai Day Gya,

Poet Qateel Shifai

Type By 

Uroosa Emaan

Parchhaaiyon Ki Anjuman Aaraai Day Gya,

Kitni Ajeeb Wo Mujhe Tanhaai Day Gya,

Aik Aik Pal Mein Beet Rahi Hai Hazar Umar,

Sadiyoun Ka Intzaar Wo Harjaai Day Gya,

Wo Kitna Hosh Mandd Tha Jo Mere Naam Se,

Mash'Hoor Khud Hua Mujhe Ruswaai Day Gya,

Mera Kia Ellag Mohabbat K Zehar Se,

Qaatil Mujhe Firaib-E-Maseehaai Day Gya,

Chehre Ab Assal Roop Mein Aaein Nazar Qateel,

Aankhein Chura K Wo Mujhe Beenaai Day Gya......!
.
Book 

Rozan


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo