Sehmi Sehmi Bojhal Bojhal, Aksar Un Ka Mosam Jall Thall,

Poetess:Fakhra Batool

Type By

*._.Murtaza._*

Sehmi Sehmi Bojhal Bojhal,

Aksar Un Ka Mosam Jall Thall,

Uth'thi Girti Un Par Chilman,

Paagal Kar De Un Ka Darshan,

Raat Se Gehri Un Ki Rangat,

Hosh Ganvaa'e Un Ki Sangat,

Chhalkay Chhalkay Pemaane Hain,

Qaa'em Un Se MayKhaane Hain,

Yaa Hain Do Gehray Se Saagar,

Piyaas Rahe Kab Un Ko Paa Kar,

Chup Reh Kar Bhi Ghantoon Bolain,

Bhaid Ye Mann Ke Saare Kholain,

Doob Ke In Main Koi Na Ubhray,

Saagar Se Bhi Barrh Ke Gehre,

Saa'er Un Par Geet Likhe Hai,

Un Ko Mann Ka Meet Likhe Hain,

Soote Main Bhi Har Dam Jaagain,

Peetam Hain Ye Teri Aankhein,

Heere,Moti,Laal,Gahar Hain,

Teri Aankhein Mera Ghar Main......!

Book:

Palkain Bheegi Bheegi See

Page 48-49

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha