Sundar Komal Sapnoun Ki Barat Guzar Gai Janaa'n, Dhoop Aankhoon Tak Aa Pohnchi Hai Raat Guzar Gai Janaa'n,

Poetess Parveen Shakir

Type By
Uroosa Emaan

Sundar Komal Sapnoun Ki Barat Guzar Gai Janaa'n,

Dhoop Aankhoon Tak Aa Pohnchi Hai Raat Guzar Gai Janaa'n,

Bhawr Same Tak Jis Ne Hamein Baaham Uljhaye Rakha,

Wo Albeli Raisham Aisi Baat Guzar Gai Janaa'n,

Sada Ki Dekhi Raat Hamein Is Baar Mili To Chupke Se,

Khali Haath Pe Rakh K Kaya Soghaat Guzar Gai Janaa'n,

Kis Konpal Ki Aas Mein Ab Tak Wese Hi Sar Sabbaz Ho Tum ?

Ab To Dhoop Ka Muasam Hai Barsaat Guzar Gai Janaa'n,

Log Na Jane Kin Raatoon Ki Muraadein Manga Karte Hain ?

Apni Raat To Wo Jo Tere Saath Guzar Gai Janaa'n,

Ab To Faqat Sayaad Ki Dildaari Ka Bahaana Hai Warna,

Hum Ko Daam Mein Lane Wali Ghaat Guzar Gai Janaa'n.........!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo