Tu Agar Be-Naqaab Ho Jaa'e, Justajo,Kaamyab Ho Jaa'e,

 Poet:Naseer-O-Deen Naseer

Type By

*._.Murtaza._.*

Tu Agar Be-Naqaab Ho Jaa'e,

Justajo,Kaamyab Ho Jaa'e,

Aks Parr Jaa'e To Tere Rukh Ka,

Aftaab,Aftaab Ho Jaa'e,

Dekh Le Ik Nazar Agar SAQI,

Saadah Paani Sharaab Ho Jaa'e,

Chhor Doon Main Agar Tumhara Dar,

Meri Matti Kharaab Ho Jaa'e,

Haath Rakh Do Jo Tum Mere Dil Par,

Dard Ka Sad-E-Baab Ho Jaa'e,

Un Ki Aankhein Jo Aa'een Gardish Main,

Ro-Numa INQILAAB Ho Jaa'e,

Sharh-E-ISHQ-O-Wafa Lekhe Jo NASEER,

Achi Khaasi Kitaab Ho Jaa'e...........................!

Book

Dast-E-Nazar

Page 21


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo