Chup Na Raho Be Chen Musafir, Beet Chali Hai Rain Musafir,

چپ نہ رہو بے چین مسافر
بیت چلی ہے رین مسافر.

اور نہیں تو دل کے بارے.
کچھ تو کہیں گے نین مسافر.

جنگل میں کوئل کرلاۓ
ہر سو گونجے بین مسافر.

تیری آس میں رو دیتی ہیں
شام ڈھلے طرفین مسافر.

گرد میں گرد ہوا آخر کو.
رستوں کے مابین مسافر.

پاؤں سے جانے کون اتارے.
چھالوں کے نعلین مسافر

Poet Farhat Abbas Shah

Type
By
*_UJRRA_DIL_*

Chup Na Raho Be Chen Musafir,

Beet Chali Hai Rain Musafir,

Aur Nahi To Dil K Bare,

Kuch To Kahein Ge Nain Musafir,

Jangal Mein Koyel Kurlaaye,

Har Soo Goonje Bain Musafir,

Teri Aas Mein Ro Deti Hain,

Sham Dhale Tarfain Musafir,

Gard Mein Gard Huwa Aakhir Ko,

Rastoon K Maaben Musafir,

Paaon Se Jane Kon Utaare,

Chhaaloon K Na'aleen Musafir..............*

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai