Poet Hasrat Mohani
Typed
By
*_UJRRA_DIL_*
Chupke Chupke Raat Din Aansoo Bahana Yaad Hai,
Hum Ko Ab Tak Aashqi Ka Wo Zamana Yaad Hai,
Ba Hazaraan Iztraab-O-Sadd Hazaraan Ishtiaaq,
Tujh Se Wo Pehle Pehl Dil Ka Lagana Yaad Hai,
Bar Bar Uthna Usi Janib Nigaah-E-Shoq Ka,
Aur Tera Gharfe Se Wo Aankhein Larrana Yaad Hai,
Tujh Se Kuch Milte Hi Wo Be Baak Ho Jana Mera,
Aur Tera Daantoon Mein Wo Ungli Dabana Yaad Hai,
Kheench Lena Wo Mera Parde Ka Kona Daftan,
Aur Do Patte Se Tera Wo Munh Chhupana Yaad Hai,
Jaan Kar Sona Tujhe,
Wo Qasd-E-Pa Boosi Mera,
Aur Tera Thukra K Sar Wo Muskurana Yaad Hai,
Tujh Ko Jab Tanha Kabhi Pana To Az Raah-E-Lihaaz,
Haal-E-Dil Baatoon Hi Baatoon Mein Sunana Yaad Hai,
Jab Siwa Mere Tumhara Koi Deewana Na Tha,
Sach Kaho Kuch Tum Ko Bhi Wo Karkhana Yaad Hai,
Gher Ki Nazroon Se Bach Kar Sub Ki Marzi K Khilaf,
Wo Tera Chori Chhupe Raatoon Ko Aana Yaad Hai,
Aa Gaya Gar Visal Ki Shab Bhi Kahein Zikar-E-Faraq,
Wo Tera Ro Ro K Mujh Bhi Rulana Yaad Hai,
Do Pehar Ki Dhoop Mein Mere Bulane K Liye,
Wo Tera Kothe Pe Nange Paaon Aana Yaad Hai,
Aaj Tak Nazroon Mein Hai Wo Sohbbat-E-Raaz-O-Niaaz,
Apna Jana Yaad Hai,
Tera Bulana Yaad Hai,
Meethi Meethi Chherr Kar Baatein Nirali Pyar Ki,
Zikar Dushman Ka Wo Baatoon Mein Urrana Yaad Hai,
Dekhna Mujh Ko Jo Bargshta To So So Naaz Se,
Jab Mana Lena To Phir Khud Rooth Jana Yaad Hai,
Chori Chori Hum Se Tum Aa Kar Mile The Jis Jaga,
Mudtein Guzri Par Ab Tak Wo Thikana Yaad Hai,
Shoq Mein Mehndi K Wo Be Dast-O-Pa Hona Tera,
Aur Mera Wo Chherrna Wo Gadgdana Yaad Hai,
Bawajood-E-Adaa-E-Atqa HASRAT Mujhe,
Aaj Tak Wo Ahd-E-Hows Ka Wo Fasana Yaad Hai....*
Page No 154
Comments
Post a Comment