Kaha Dharrkan Jigar Saansoon Ko Tum Se Pyar Hai Laila, Kaha In Adabi Dawoon Se Bezar Hai Laila,

Poet Shehzad Qais

Type
By
*_UJRRA_DIL_*

Kaha Dharrkan Jigar Saansoon Ko Tum Se Pyar Hai Laila,

Kaha In Adabi Dawoon Se Bezar Hai Laila,

Kaha Suniye Hamara Dil Yahein Par Aaj Rakha Tha,

Kaha Lo Kaya Tumhara Dil Ki Theeke Daar Hai Laila ?

Kaha Majnoo Ki Chahat Ne Tumhein Laila Bana Dala,

Kaha Majnoo Janooni Ki To Khud Maemar Hai Laila,

Kaha Majnoon Nigahein Pher Li To Kaya Kare Gi Jee,

Kaha Majnoon Na Kar Pai To Phir Bekar Hai Laila,

Kaha Par Malka-E-Husan-E-Jahan To Aur Koi Hai,

Kaha Pardah Nashen Hain Warna To Sardar Hai Laila,

Kaha Ye Hijar Ki Ratein Mujhe Kion Bakhsh Di Sahib,

Kaha Shaair Banane Ko Bohat Fankar Hai Laila,

Kaha In Zahidoon Ko Kuch Riyaat Ishq Mein Dijiye,

Kaha Hooroon Ka Na Sochein To Kuch Tyar Hai Laila,

Kaha Tanha Milo Na Sirf Kuch Ghazalein Sunani Hai,

Kaha Hum Sub Samjhte Hain Bohat Houshiyaar Hai Laila,

Kaha Koh-E-Hamaaliya Mein Rawan Kar Doon Jo Joo-E-Shair,

Kaha Wo Shart-E-Shereen Thi Kahein Dushwar Hai Laila,

Kaha Sham'ma Patnge Qais Laila Mein Sitam Gar Kon,

Kaha Sham'ma Bhi Noori Noor Ka Meenar Hai Laila.....*

.

Book Laila


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai