Kitnay parvaanay jalay raaz yeh paanay ke liye, Shama jalne ke liye hai ya jalaanay ke liye,

Kitnay parvaanay jalay raaz yeh paanay ke liye,

Shama jalne ke liye hai ya jalaanay ke liye,

Ronay walay tujhe ronay ka saleeka bhi nahi,

Ashk peenay ke liye hain ya bahanay ke liye,

Tum to nadaan ho,na samjhogay yeh zalim duniya,

Sarr charra leti hai nazron se giraney ke liye,

Aaj karta hon shab-e-ghamm ki shikayat tum say,

Roz aa jati hai kambakht satanay ke liye,

Mujh ko maloom tha aap aayeingay mere ghar par,

Khud chala aaya hon main yaad dilanay ke liye,

Ishq ne raaz yeh ab tak na bataya hai shakeel,

Sar jhukanay ke liye hai ya katanay ke liye.....!


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha