Main Aisi Mohabbat Karta Hoon Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho


Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho
Tum Jahan Peh Bayth K Jati Ho
Main Waheen Pe Betha Rehta Hoon
Us Cheez Ko Choota Rehta Hoon
Main Aisi Mohabbt Karta Hoon

Tum Jis Se Huns K Milti Ho
Main Us Ko Dost Banata Hoon
Tum Jis Rustay Par Chalti Ho
Main Us Say Aata Jata Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho

Tum Jin Ko Daykhti Rehti Ho
Wo Khuwab....Sarhanay Rakhta Hoon
Tum Say Milnay Julnay K
Kitnay Hi Bahanay Rakhta Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho

Tum Jahan Bhi Bayth K Jati Ho
Jis Cheez Ko Hath Lagati Ho
Main Waheen Peh Baytha Rehta Hoon
Us Jaga Ko Choota Rehta Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho

Kuch Khuwab Saja Kar Aankhoon Main
Palkon Say Moti Chunta Hoon
Koi Lums Agar Choo Jaa A To
Main Pehroon Us Ko Sochta Hoon
Main...Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho

Jin Logon Main Tum Rehti Ho
Tum Jin Say Batain Karti Ho
Tum Jin Say Huns K Milti Ho
Jo Tum Ko Achay Lagtay Hoon
Wohi Mujh Ko Achy Lagtay Hain
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho

Jis Bagh Main Subh Ko Jati Ho
Jis Sabzay Par Tum Chalti Ho
Jo Shakh Tumhain Choo Jati Hay
Jo Khushboo...Tum Ko Bhati Hay
Wo Os Tumharay Chehray Par
Jo Qatra Qatra Girti Hai
Wo Titli Chor K Phoolon Ko
Jo Tum Say Milnay Aati Hai
Jo Tum Ko Choonay Aati Hay
Un Sab K Nazuk Jazbon Main
Meray Dil Ki Dharkan Basti Hai
Miri Rooh Bhi Shamil Rehti Hai
Tum Paas Raho Ya Door Raho
Nazron Main Samai Rehti Ho
Main Tum Ko Takta Rehta Hoon
Main Tum Ko Sochta Rehta Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho

Jis College Main Tum Parhti Ho
Jis Class Main Bhi Tum Jati Ho
Jis Kursi Peh Tum Baythti Ho
Jab Class Wo Khali Hoti Hai
Main Ja K Us Main Baythta Hoon
Us Kursi Ko Main Choota Hoon
Gadla Sa Ik Tissue Paper
Jo Tum Nay Class Main Choora Tha
Main Pyar Say Us Ko Choota Hoon
Main Us Ko...Purse Main Rakhta Hoon
Wo Copy Jis Main Lecture K Tum
Points Likhti Rehti Ho
Her Moqay Par Her Manzar Main
Main Sath Tumharay Rehta Hoon
Main Chashm-E-Tasavvur Main Aksar
Bus Tum Ko Dekhta Rehta Hoon
Bus Tum Ko Sochta Rehta Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho

Larki Ka Jawab

Tum Jab Bhi Ghar Par Aatay Ho
Aur Sab Say Batain Kartay Ho
Main Aut Say Parday Ki Janan
Bus Tum Ko Dekhti Rehti Hoon
Ik Tum Ko Dekhnay Ki Khatir Main Kitni Pagal Hoti Hoon
Main Aisi Mohabat Karti Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho
Jab Darwazay Par Dastak Ho
Ya Ghanti Phone Ki Bajti Ho
Main Chor K Sab Kuch Bhagti Hoon
Aur Tum Ko Jo Na Paoon To Ji Bhar K Ronay Lagti Hoon
Main Aisi Mohabbat Karti Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho
Mehfil Main Kaheen Bhi Jana Ho
Kapron Ka Selection Karna Ho
Rang Bohat Say Samnay Bikhray Hoon
Us Rang Pe Dil Aa Jata Hai
Jo Rang K Tum Ko Bhata Hai
Main Aisi Mohabbat Karti Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho
Rozana Apnay College Main
Kisi Aur Ka Lecture Suntay Hoay
Ya Break K Khali Ghantay Main
Sakhyoon Say Batain Kartay Hoay
Meray Dhiyan Main Tum Aa Jatay Ho
Mein, Main Nahin Rehti
Phir Janan Main Tum Main Gum Ho Jati Hoon
Bus Khuwabon Main Kho Jati Hoon
Un Aankhon Main Kho Jati Hoon
Main Aisi Mohabbat Karti Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho
Jis Chehray Par Bhi Nigha Paray
Her Chehra Tum Sa Lagta Hai
Wo Sham Ho Ya Ke Dhop Samay Sab Kitna Bhala Sa Lagta Hai
Janay Ye Kaisa Nasha Hai Garmi Ka
Tapta Mosam Bhi Jaray Ka Maheena Lagta Hai
Main Aisi Mohabbat Karti Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho
Tum Jab Bhi Samnay Aatay Ho
Main Tum Say Sunn Na Chahti Hoon
Kash Kabhi Tum Ye Keh Do
Tum Mujh Say Mohabbat Kartay Ho
Tum Mujh Ko Bohat Hi Chahtay Ho
Lekin Janay Tum Kyun Chup Ho
Yeh Soch K Dil Ghabrata Hai
Aisa To Nahin Hai Na Jana Sirf Meri Nazar Ka Dhoka Ho
Tum Nay Mujh Ko Chaha Hi Na Ho
Koi Aur Hi Dil Main Rehta Ho
Main Tum Say Poochna Chahti Hoon
Main Tum Say Kehna Chahti Hoon
Lekin Kuch Pooch Nahin Sakti Mana Ke Mohabbat Hai
Phir Bhi Lab Apnay Khol Nahin Sakti
Main Larki Hoon Kaisay Keh Doon
Main Kaisi Mohabat Karti Hoon
Main Tum Say Ye Kaisay Pochoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho
Chup Chap See Main...Ho Jati Hoon
Phir Dil Main Apnay Kehti Hoon
Main Aisi Mohabbat Karti Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho

میں ایسی محبت کرتا ہوں

تم کیسی محبت کرتی ہو؟

ناکام نہیں ناشاد نہیں

میں قیس نہیں فرہاد نہیں

پنوں بھی نہیں رانجھا بھی نہیں

وامق بھی نہیں مرزا بھی نہیں

وہ لوگ تو بس افسانہ تھے

اس شدت سے بیگانہ تھے

میں زندہ ایک حقیقت ہوں

سرتاپا جذبہ- الفت ہوں

میں تم کو دیکھ کے جیتا ہوں

ہر لمحہ تم پہ مرتا ہوں

’میں ایسی محبت کرتا ہوں‘

تم کیسی محبت کرتی ہو؟

تم جہاں پہ بیٹھ کے جاتے ہو

جس چیز کو ہاتھ لگاتے ہو

میں وہیں پہ بیٹھا رہتا ہوں

اس چیز کو چھوتا رہتا ہوں

’میں ایسی محبت کرتا ہوں‘

تم کیسی محبت کرتی ہو؟

تم جس سے ہنس کے ملتے ہو

میں اس کو دوست بناتا ہوں

تم جس رستے پہ چلتے ہو

میں اس سے آتا جاتا ہوں

تم جن کو دیکھتے رہتے ہو

وہ خواب سرہانے رکھتا ہوں

میں تم سے ملنے جلنے کے

کتنے ہی بہانے رکھتا ہوں

’میں ایسی محبت کرتا ہوں‘

تم کیسی محبت کرتی ہو؟

کچھ خواب سجا کر آنکھوں میں

پلکوں سے موتی چنتا ہوں

کوئ لمس اگر چھو جائے تو

میں پہروں اس کو سوچتا ہوں

’میں ایسی محبت کرتا ہوں‘

تم کیسی محبت کرتی ہو؟

جن لوگوں میں تم رہتی ہو

تم جن سے باتیں کرتی ہو

جو تم سے ہنس کے ملتے ہیں

جو تم کو اچھے لگتے ہیں

وہی مجھ کو اچھے لگتے ہیں

’میں ایسی محبت کرتا ہوں‘

تم کیسی محبت کرتی ہو؟

جس باغ میں صبح کو جاتی ہو

جس سبزے پر تم چلتی ہو

جو شاخ تمہیں چھو جاتی ھے

جو خوشبو تم کو بھاتی ھے

وہ اوس تمہارے چہرے پر

جو قطرہ قطرہ گرتی ھے

وہ تتلی چھوڑ کے پھولوں کو

جو تم سے ملنے آتی ھے

جو تم کو چھونے آتی ھے

ان سب کے نازک جذبوں میں

میرے دل کی دھڑکن بستی ھے

میری روح بھی شامل رہتی ھے

تم پاس رہو یا دور رہو

نظروں میں سمائ رہتی ہو

میں تم کو تکتا رہتا ہوں

میں تم کو سوچتا رہتا ہوں

میں ایسی محبت کرتا ہوں

تم کیسی محبت کرتی ہو؟

جس کالج میں تم پڑھتی ہو

میں اس میں لیکچر دیتا ہوں

وہ کلاس جہاں تم ہوتی ہو

میں اس کو تکتا رہتا ہوں

جو کاپی تم نے گم کی تھی

میں اپنے بیگ میں رکھتا ہوں

گدلا سا اک ٹشو پیپر

جو تم نے کلاس میں چھوڑا تھا

وہ میرے پرس میں رہتا ھے

وہ میرے لمس میں رہتا ھے

وہ مخمل ھے، وہ دیبا ھے

وہ چاندی ھے، وہ سونا ھے

وہ عنبر ھے، وہ صندل ھے

وہ خو شبو کا اک جنگل ھے

ہر منظر میں، ہر رستے پر

میں ساتھ تمہارے رہتا ہوں

میں چشم- تصور سے اکثر

بس تم کو دیکھتا رہتا ہوں

بس تم کو سوچتا رہتا ہوں

میں ایسی محبت کرتا ہوں

تم کیسی محبت کرتی ہو؟

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai