Wo Aaya Aur Jadoo Laaya, Aasha'oon Ka Deep Jallaaya,(SAPERA)

SAPERA

Poetess Fakhrah Batool

Type By
*._.Murtaza._*

Wo Aaya Aur Jadoo Laaya,

Aasha'oon Ka Deep Jallaaya,

Sagar Jaise Nain Thay
Aise,

Kaali Kaali Rain Ho
Jaise,

Bhool Bhuliyaan
Baatain Us Ki,

Baatain Thain Soghaatain Us Ki,

Saanpon Ka Wo Naach Dikhaaye,

Pal Main Jall Main Aag
Lagaaye,

Us Ne Aisi Been Bajaai,

Bassti Main Ik Dhoom
Machaai,

Been Ki Ik Din Ho
Baithi Main,

Sudh Budh Apni Khou
Baithi Main,

Amrat Keh Kar Zehar
Pilaaya!

Kaale Naagon Se
Daswaaya,

Phir Us Ne Wo Ga'oon
Chhorra,

Pal Main Har Ik Naata
Torra,

Ab Dass Kar Jee
Behlaati Hoon,

Main Ik Naagan Kehlaati Hoon.............!

Book Name
Palkain Bheegi Bheegi Si
Page No 70-71

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai