Andaz ho bahoo teri awaz-e-paa ka tha Dekha nikal k ghar se to jhonka hawa ka tha

 

Poet:Ahmad Nadeem Qasmi

Andaz ho bahoo teri awaz-e-paa ka tha

Dekha nikal k ghar se to jhonka hawa ka tha

Utha ajab tazad se insan ka khameer

Aadi fana ka tha to pujari baqaa ka tha

Is rishta-e-lateef k israr kya khulen

Tu samne tha aur tasawar khuda ka tha

Toota tou kitne aaina khano peh zad pari

Atka hua gale mein jo pathar sadaa ka tha

Chhup Chhup k roun aur sar-e-anjuman hansoon

Mujh ko ye mashwara mere dard aashna ka tha

Dil raakh ho chuka to chamak aur barh gai

Ye teri yaad thi k amal keemiya ka tha

Is husn-e-ittifaq pe lut k bhi shaad hoon

Teri razaa jo thi, wo taqaza wafa ka tha

Hairan hoon k daar se kaisy bacha NADEEM

Wo shakhs to ghareeb-o-ghayoor intihaa ka tha


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo