Chahat Mein Kiya Duniya Dari Ishq Mein Kaisi Majbori Logo Ka Kiya, Samjha'ne Do In Ki Apni Majbori

 

Poet:Mohsin Bhopali

Chahat Mein Kiya Duniya Dari 

Ishq Mein Kaisi Majbori

Logo Ka Kiya, Samjha'ne Do 

In Ki Apni Majbori

Mein Ney Dil Ki Baat Rakhi Aur Tu Ney Duniya Walon Ki

Meri Garz Bhi Majboori Thee Un Ka Huqam Bhi Majboori

Rok Sako To Pahli Barish Ki Boondon Ko Tum Roko

Kachi Mitti To Mehkey Ge, Hai Mitti Ki Majboori

Jab Tak Hunsta Gata Mausam Apna Hai,Sab Apnay Hain

Waqt Paray To Yaad Aa jati Hai Masnooee Majboori

Aik Awara Badal Sey Kyun Mein Ney Saya Manga Thaa

Meri Bhi Ye Nadani Thee, Us Ki Bhi Thee Majboori

Muddat Guzri Aek Wadey Per Ajj Bhi Qayam Hain Mohsin 

Hum Ney Sari umer Nibhaye, Apni Pehli Majboori

>>>>>>>>>>>NOMI<<<<<<<<<<


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai