Gaye Dinon Ka Suraagh Le Kar Kidhar Se Aaya Kidhar Gaya Wo Ajeeb Manoos Ajnabi Tha, Mujhe To Hairaan Kar Gaya Wo


Gaye Dinon Ka Suraagh Le Kar Kidhar Se Aaya Kidhar Gaya Wo
Ajeeb Manoos Ajnabi Tha, Mujhe To Hairaan Kar Gaya Wo

Khushi Ki Raat Ho Keh Gham Ka Mausam, Nazar Usy Dhoondti Hai Har Dam
Wo Boye Gul Tha Keh Naghma-E-Jaan, Mere To Dil Mein Utar Gaya Wo

Wo Maikadey Ko Jagane Wala, Wo Raat Ki Neend Uraney Wala
Ye Aaj Kia Is Ke Jee Mein Aai Keh, Shaam Hote Hi Ghar Gaya Wo

Wo Jis Ke Kandhon Pe Haath Rakh Kar Safar Kia Tu Ne Manziloon Ka
Teri Gali Se Najaney Koin Aaj Sar Jhukaye Guzar Gaya Wo

Wo Raat Ka Be Nawa Musafir, Wo Teri Shayr, Wo Tera Nasir
Teri Gali Tak To Ham Ne Dekha Tha Phir Najaney Kidhar Gaya Wo


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha