Hai Dua Yaad,Magar Harf-e-Dua Yaad Nahi Mere Naghmaat Ko Andaaz-e-Nawa Yaad Nahi



Poet:Saghar Siddiqui (Pakistan)
Hai Dua Yaad,Magar Harf-e-Dua Yaad Nahi
Mere Naghmaat Ko Andaaz-e-Nawa Yaad Nahi
Hum Ne Jin Ke Liye Rahon Mein Bechhaya Tha Lahoo
Hum Se Kehtay Hain Wahi Ahd-e-Wafa Yaad Nahi
Zindagi Jabr-e-Musalsal Ki Tarah Kaati Hai
Jaane Kis Jurm Ki Paai Hai Saza, Yaad Nahi
Main Ne Palkon Se Dar-e-Yaar Pe Dastak Di Hai
Main Wo Saa'il Hon Jise Koi Sadaa Yaad Nahi
Kise Bhar Aaein Sar-e-Shaam Kisi Ki Aankhein
Kise Thirai Chiraghon Ki Zia Yaad Nahi
Sirf Dhundlaaye Sitaaron Ki Chamak Dekhi Hai
Kab Howa,Kon Howa, Mujh Se Khafa Yaad Nahi
Aao,Ik Sajda Karen Aalam-e-Madhoshi Mein
Log Kehtay Hain Keh Saghar Ko Khuda Yaad Nahi

ﺳﺎﻏﺮ ﺻﺪﯾﻘﯽ ﭘﺎﮐﺴﺘﺎﻥ

ﮨﮯ ﺩﻋﺎ ﯾﺎﺩ ﻣﮕﺮ ﺣﺮﻑِ ﺩﻋﺎ ﯾﺎﺩ ﻧﮩﯿﮟ
ﻣﯿﺮﮮ ﻧﻐﻤﺎﺕ ﮐﻮ ﺍﻧﺪﺍﺯِ ﻧﻮﺍ ﯾﺎﺩ ﻧﮩﯿﮟ

ﮨﻢ ﻧﮯ ﺟﻦ ﮐﮯ ﻟﺌﮯ ﺭﺍﮨﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺑﭽﮭﺎﯾﺎ ﺗﮭﺎ ﻟﮩﻮ
ﮨﻢ ﺳﮯ ﮐﮩﺘﮯ ﮨﯿﮟ ﻭﮨﯽ ﻋﮩﺪِ ﻭﻓﺎ ﯾﺎﺩ ﻧﮩﯿﮟ

ﺯﻧﺪﮔﯽ ﺟﺒﺮِ ﻣﺴﻠﺴﻞ ﮐﯽ ﻃﺮﺡ ﮐﺎﭨﯽ ﮨﮯ
ﺟﺎﻧﮯ ﮐﺲ ﺟﺮﻡ ﮐﯽ ﭘﺎﺋﯽ ﮨﮯ ﺳﺰﺍ، ﯾﺎﺩ ﻧﮩﯿﮟ

ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﭘﻠﮑﻮﮞ ﺳﮯ ﺩﺭِ ﯾﺎﺭ ﭘﮧ ﺩﺳﺘﮏ ﺩﯼ ﮨﮯ
ﻣﯿﮟ ﻭﮦ ﺳﺎﺋﻞ ﮨﻮﮞ ﺟﺴﮯ ﮐﻮﺋﯽ ﺻﺪﺍ ﯾﺎﺩ ﻧﮩﯿﮟ

ﮐﯿﺴﮯ ﺑﮭﺮ ﺁﺋﯿﮟ ﺳﺮِ ﺷﺎﻡ ﮐﺴﯽ ﮐﯽ ﺁﻧﮑﮭﯿﮟ
ﮐﯿﺴﮯ ﺗﮭﺮﺍﺋﯽ ﭼﺮﺍﻏﻮﮞ ﮐﯽ ﺿﯿﺎﺀﯾﺎﺩ ﻧﮩﯿﮟ

ﺻﺮﻑ ﺩﮬﻨﺪﻻﺋﮯ ﺳﺘﺎﺭﻭﮞ ﮐﯽ ﭼﻤﮏ ﺩﯾﮑﮭﯽ ﮨﮯ
ﮐﺐ ﮨﻮﺍ، ﮐﻮﻥ ﮨﻮﺍ، ﻣﺠﮫ ﺳﮯ ﺧﻔﺎ ﯾﺎﺩ ﻧﮩﯿﮟ

ﺁﺅ ﺍﮎ ﺳﺠﺪﮦ ﮐﺮﯾﮟ ﻋﺎﻟﻢِ ﻣﺪﮨﻮﺷﯽ ﻣﯿﮟ
ﻟﻮﮒ ﮐﮩﺘﮯ ﮨﯿﮟ ﮐﮧ ﺳﺎﻏﺮ ﮐﻮ ﺧﺪﺍ ﯾﺎﺩ ﻧﮩﯿﮟ

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo