Lo Apna Jahan A Duniya Walo, Hum Is Duniya Ko Chor Chaly Jo Rishtey Natey Jorray They, Wo Rishtey Nate Tor Chaly


Lo Apna Jahan A Duniya Walo, Hum Is Duniya Ko Chor Chaly
Jo Rishtey Natey Jorray They, Wo Rishtey Nate Tor Chaly

Kuch Sukh Ke Lamhey Dekh Chaly, Kuch Dukh Ke Lamhey Jheil Chaly
Taqdeer Ki Andhi Gardish Ney, Jo Khel Khilaye Khel Chaly

Har Cheez Tumhari Lotas Di, Hum Kuch Na Le Kar Sath Chaly
Phir Dosh Na Dena Aey Logo, Hum Dekh Lo Khali Hath Chaly

Ye Raah Akeli Kat’ti Hai, Yahan Sath Na Koi Yaar Chaly
Us Paar Na Janey Kiya Hoga, Is Paar To Sab Kuch Haar Chaly


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai