Zakhm-E-Ummeed Bhar Gaya Kab Ka Qais To Apne Ghar Gaya Kab Ka


Zakhm-E-Ummeed Bhar Gaya Kab Ka

Qais To Apne Ghar Gaya Kab Ka

Ab To Munh Apna Mat Dikhaao Mujhe

Naaseho! Main Sudhar Gaya Kab Ka

Aap Ab Poochhne Ko Aaye Hain

Dill Meri Jaan Mar Gaya Kab Ka

Aap Ek Neend Aur Le Leejiye

Qaafela Kooch Kar Gaya Kab Ka

Mera Fehrist Se Nikaal Do Naam

Main To Khud Se Mukar Gaya Kab Ka 

Jaun Elia


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo