Bana Gulaab to Kaante chubha gaya ek shakhs Hua charagh to Ghar hi jala gaya ek shakhs

 

Bana Gulaab to Kaante chubha gaya ek shakhs
Hua charagh to Ghar hi jala gaya ek shakhs

Mein kis hawa mein urroon kis faza mein lehraoun?
Dukhon k jaal her ek soo bicha gaya ek shakhs...

Tamam rang meray or Saray khawab meray...
Fasaana thay! k fasaana banaa gaya ek shakhs?

Palat Sakoon hei, na aagay hi barh sakoon jisper...
Mujhe ye konsay rasteay laga gaya ek shakhs???

Mohabbatain bhi ajab - uski nafratain bhi kamal!
Merii hi tarah ka mujh main samaa gaya ek shakhs...

Woh mahtaab tha, merham badast aaya tha..
Magr kuch aur Siwa Dil Dukha gaya ek shakhs..

Mohabaton ne kisi ki bhula rakha tha ussay
Milay wo zakhm k phir yaad aa gaya ek shakhs!

Khula ye raaz k aaina khana hai duniya
Or usmain mujhko tamasha bana gaya ek shakhs

Bana Gulaab to Kaante chubha gaya ek shakhs

Hua charagh to Ghar he jala gaya ek shakhs



No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo