Poet:Nasseer-O-Deen Nasseer Gillani
Type By
*._.Murtaza._*
Mohabbat Naaz Hai,
Yeh Naaz Kab Har Dil
Se Uth'ta Hai,
Yeh Woh Sang-E-Giran
Hai Jo Barri Mushkil Se Uth'ta Hai,
Lagi Main ISHQ Ki,
Shoalla Koi Mushkil Se
Uth'ta Hai,
Jallan Rehti Hai
Aankhon Main,
Dhuwaan Se Dil Se
Uth'ta Hai,
Teri Nazroon Se Gir
Kar Jab Koi Mehfil Se
Uth'ta Hai,
Barri Diqatt, Barri
Zehmat, Barri Mushkil
Se Uth'ta Hai,
Jo Aa Kar Baith'ta Hai,
Baith Kar Woh Phir
Nahi Uth'ta,
Jo Uth'ta Hai Toh Bus
Fitnaa Teri Mehfil Se
Uth'ta Hai,
Manaa Kar Hi Tumhen
Dam Lenge, Yeh Tay
Kar Liya Hum Ne,
Tumhari Na Khushi
Ka Bojh Kis Ke Dil Se
Uth'ta Hai,
Ye Aalam Hai Tere
Beemar-E-Ulfat Ki
Naqaahat Ka,
Ishaare Ke Liye Ab
Haath Mushkil Se
Uth'ta Hai,
Zaroorat Hai Toh
Gardaab-E-Balaa Main
Aafiyat Dhoondo,
Ke Ab Toofan Aksar
Daaman Saahil Se
Uth'ta Hai,
Mohabbat Ka Safar Be
Intihaa Aasaan Sahi,
Lekin,
Jo Gir Parrta Hai
Rasste Main Woh Phir
Mushkil Se Uth'ta Hai,
Teri Mehfil Kisi Ko
Jeete Ji Uth'ne Nahi
Daiti,
Woh Hai Zindaah
Janaazah Jo Teri
Mehfil Se Uth'ta Hai,
Tera Beemar Kiya Aa
Kar Sunaa'e Tujh Ko
Haal Apna,
Zabaan Mushkil Se
Chalti Hai, Qadam
Mushkil Se Uth'ta Hai,
Yeh Kis Deewana-E-
ISHQ-O-Wafa Ne Raah
Tay Kar Li,
Salaami Ko Bagolaa
Gardish-E-Manzil Se
Uth'ta Hai,
Tamana Toh Nasseer
Us Bazam Main Jaane
Ki Hai, Lekin,
Suna Hai Jo Wahan
Baithe, Barri Mushkil
Se Uth'ta Hai...............!
Book Name
Dast-E-Nazar
Page 239-240
Comments
Post a Comment