Shabnam Ke Aansu Phool Par Yeh Toh Wohi Qissa Hua Aankhein Meri Bheegi Huyi Chehra Tera Utraa Hua


Shabnam Ke Aansu Phool Par Yeh Toh Wohi Qissa Hua

Aankhein Meri Bheegi Huyi Chehra Tera Utraa Hua

Ab Inn Dino'n Meri Ghazal Khushbu Ki Ek Tasveer Hai

Har Lafz Ghunche Ki Tarah Khil Kar Tera Chehra Hua

Mandir Gaye Masjid Gaye Peeron Fakheeron Se Mile

Ek Uss Ko Paane Ke Liye Kya Kya Kiya Kya Kya Hua

Shayad Isey Bhi Le Gaye Achhe Dino'n Ke Qaafley

Iss Baagh Mein Ik Phool Tha Teri Tarah Hansta Hua

Anmol Moti Pyaar Ke, Duniya Chura Ke Le Gayi

Dil Ki Haveli Ka Koyi Darvaaza Tha Toota Hua


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo