Ek NAZM "Urdu Zubaan" Ahl-E-Zauq Ki Nazar
Urdu Hai Mera Naam Mein 'Khusro' Ki Pahaili
Mein 'Meer' Ki Hamraaz Hon 'Ghalib' Ki Sahaili
Daccan Ke 'Vali' Ne Mujhe Godi Mein Khilaaya
'Sauda' Ke Qaseedon Ne Mera Husn Barrhaya
Hai 'Meer' Ki Azmat Keh Mujhe Chalna Sikhaaya
Mein 'Daagh' Ke Aangan Mein Khili Ban Ke Chambeli
Urdu Hai Mera Naam Mein 'Khusro' Ki Pahaili
'Ghalib' Ne Bulandi Ka Safar Mujh Ko Sikhaaya
'Hali' Ne Murawwat Ka Sabaq Yaad Dilaaya
'Iqbal' Ne Aaina-E-Haq Mujh Ko Dikhaaya
'Momin' Ne Sajaaye Merey Khwaabon Ki Haveli
Urdu Hai Mera Naam Mein Khusro Ki Pahaili
Hai 'Zauq' Ki Azmat Keh Diye Mujh Ko Sahaare
'Chakbast' Ki Ulfat Ne Merey Khwaab Sanwaanre
'Fani' Ne Sajaaye Meri Palkon Pe Sitaarey
'Akbar' Ne Rachaayi Meri Be-Rang Hathaili
Urdu Hai Mera Naam Mein Hun 'Khusro' Ki Pahaili
Kyun Mujh Ko Banaate Ho Ta'assub Ka Nishaana???
Mein Ne Toh Kabhi Khud Ko Musalmaan Nahin Maana
Dekha Tha Kabhi Mein Ne Bhi Khushiyon Ka Zamaana
Apney Hi Watan Mein Hun Magar Aaj Akaili
Urdu Hai Mera Naam Mein 'Khusro' Ki Pahaili
Comments
Post a Comment