Bahut hi muddat ke baad kal jab kitaab-e-maazi ko maine khola


Bahut hi muddat ke baad kal jab

kitaab-e-maazi ko maine khola

Bahut se chehre nazar mein utare

bahut se naamon pe dil paseeja

Ek aisa safha bhi uss mein aaya

likha hua tha jo aansuon se

K jiska unwan 'humsafar' tha

jo safha sab se hi motabar tha

Kuchh aur aansu phir uss pe tapke

phir uss se aage main parh na paya

Kitaab-e-maazi ko band kar ke

uski baaton mein kho gaya main

Agar woh milta toh kaisa hota

inhi khyaalon mein so gaya main

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo