Dehaan Main Aa Kar Baith Gaye Ho Tum Bhi Naa'n Mujhe Musalsal Dekh Rahe Ho Tum Bhi Naa'n

Poetess:Anbreen Haseeb

Type By

*.__NOMI__.*


Tumhara Jo Sahara Ho Gaya Hai

Bhunvar Bhi Ab Kinaara Ho Gaya Hai


Muhabbat Mein Bhala Kia Aur Hota

Mera Ye Dil Tumhara Ho Gaya


>>>>>>>>>>>><<<<<<<<<<<<

Tum Bhi Naa'n

>>>>>>>>>>>><<<<<<<<<<<<


Dehaan Main Aa Kar Baith Gaye Ho Tum Bhi Naa'n

Mujhe Musalsal Dekh Rahe Ho Tum Bhi Naa'n


De Jate Ho Mujh Ko Kitnay Rang Naye

Jaise Pehli Baar Milay Ho Tum Bhi Naa'n


Har Manzar Mein Ab Hum Dono Hotay Hain

Mujh Mein Aise Aan Basey Ho Tum Bhi Naa'n


Ishq Ne Yun Dono Ko Hum-Aamaiz Kia

Ab To Tum Bhi Keh Detay Ho Tum Bhi Naa'n


Khud Hi Kaho Ab Kaise Sanwar Sakti Hon Main

Aainey Mein Tum Hotay Ho Tum Bhi Naa'n


Bankay Haseen Honton Par Bhi Rehtay Ho

Ashkon Mein Bhi Tum Rehtay Ho Tum Bhi Naa'n


Meri Band Aankhein Bhi Tum Parh Laitay Ho

Mujh Ko Itna Jaan Chukay Ho Tum Bhi Naa'n


Mang Rahe Ho Rukhsat Mujh Se Aur Khud Hi

Haath Mein Haath Liye Baithay Ho Tum Bhi Naa'n


Dehaan Mein Aa Kar Baith Gaye Ho Tum Bhi Naa'n

Mujhe Musalsal Dekh Rahe Ho Tum Bhi Naa'n

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai