Hawa K Zor Sey Pindaar-E-Baam-O-Dar Bhi Gaya, Chiraag Ko Jo Bachaatey Thay ,Un Ka Ghar Bhi Gaya,

Hawa K Zor Sey Pindaar-E-Baam-O-Dar Bhi Gaya,
Chiraag Ko Jo Bachaatey Thay ,Un Ka Ghar Bhi Gaya,

Pukaartey Rahey Mehfooz Kishtiyon Walay,
Main Doobata Hua Dariya K Paar, Utar Bhi Gaya,

Ab Ehtiyaat Ki Diwaar Kya Uthaatey Ho,
Jo Chor Dil Main Chupa Tha, Wo Kaam Kar Bhi Gaya,

Main Chup Raha K Is Main Thi Aafiyat Jaan Ki,
Koi To Meri Tarah Tha ,Jo Daar Par Bhi Gaya,

Sulagtey Sochtey Veeraan Mausamon Ki Tarah,
Karraa Tha ehad-E-Jawani ,Magar Guzar Bhi Gaya,

Jisey Bhoola Na Saka ,Us Ko Yaad Kya Rakhta,
Jo Naam Dil Main Raha, Zehan Sey Utar Bhi Gaya,

Phati-Phati Hui Aankhon Sey Yoon Na Dekh Mujhe,
Tujhe Talaash Hai Jis Ki Wo Shakhs ,Mar Bhi Gaya,

Magar Falak Ki Adaawat Usi K Ghar Sey Na Thi,
Jahaan 'Faraz' Na Tha, Sail-E-Gham Udhar Bhi Gaya !

Ahmed Faraz

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo