Hum saaya-daar perr zamaane ke kaam aaye Jab sookhne lage toh jalane ke kaam aaye


Hum saaya-daar perr zamaane ke kaam aaye

Jab sookhne lage toh jalane ke kaam aaye

Talwaar ki myaan kabhi pheinkna nahin

Mumkin hai dushmanon ko daraane ke kaam aaye

Kaccha samajh ke bech na dena makaan ko

Shayad kabhi ye sar chhupaane ke kaam aaye

Aisa bhi husn kya ki tarasti rahe nighaah

Aisi bhi kya ghazal jo na gaane ke kaam aaye

Woh dard de jo raaton ko sone na de humein

Woh zakhm de jo sab ko dikhaane ke kaam aaye


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo