Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahin milta kahin zameen toh kahin aasmaan nahin milta


Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahin milta

kahin zameen toh kahin aasmaan nahin milta

Tamaam shehar mein aisa nahin khuloos na ho

jahan umeed ho iss ki wahan nahin milta

Kahan charaagh jalaayen kahan gulaab rakhen

chhaten toh milti hain lekin makaan nahin milta

Ye kya azaab hai sab apne aap mein gum hain

zubaan mili hai magar hum-zubaan nahin milta

Charaagh jalte hain beenaai bujhne lagti hai

khud apne ghar mein hi ghar ka nishaan nahin milta

Nida Fazli


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo