Kisi bhi morr ya agle paraao par Juda hi hum ko hona hai toh aao phir



Kisi bhi morr ya agle paraao par

Juda hi hum ko hona hai toh aao phir

Yahin apne asaason ko alag kar lein

Ye jitne zakhm dil par hain

Idhar meri taraf kar do

K tum aksar ye kehte the

Ye sab meri badoulat hain

Magar thehro

Zara thehro

Yahan kuchh khwaab bhi honge

Jo mil ke hum ne dekhe thay

Suhaane khwaab tum rakh lo

Adhooray sab mujhe de do

Ki meri yun bhi aadat hai

Mujhe tooti hui cheezon se ek benaam ulfat hai

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo