Mujhe Arzoo-E-Sahar Rahi Yunhi Raat Bhar Bari Dair Tak


Mujhe Arzoo-E-Sahar Rahi

Yunhi Raat Bhar Bari Dair Tak

Na Bikhar Saka Na Simat Saka

Yunhi Raat Bhar Bari Dair Tak

Tha Bohat Azab Aur Akele Hum

Shab-E-Gham Bhi Meri Taweel Tar

Rahi Zindagi Bhi Saraab Aur

Rahi Aankh Tar Bari Dair Tak

Yahan Har Taraf Hai Ajab Samaa

Sabhi khud Pasand Sabhi Khud Numa

Dil-E-Beqarar Ko Na Mil Saka

Koi Chara Gar Bari Dair Tak

Mujhe Zindagi Hai Aziz Tar

Isi Waste Mere Hamsafar

Mujhe Qatra Qatra Pila Zeher

Jo Kare Asar Bari Dair Tak


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha