Neel Gagan Ki Gehra'ee Main, Raat Ki Qaatil Tanhai Main, Dhoonda Tujh Ko Aur Pukaara, Baras Baras Barkhaa Bhi Haari,


Nazam ( SARAAB )

Poetess: Fakhraah Batool

Type By
*._.Murtaza._*

Neel Gagan Ki
Gehra'ee Main,

Raat Ki Qaatil Tanhai
Main,

Dhoonda Tujh Ko Aur
Pukaara,

Baras Baras Barkhaa
Bhi Haari,

Koi Khatt, Koi
Sandesa,

Teri Janib Se Na Aaya,

Jaane Tu Kis Dais
Gaya Hai ?

Toot Chukein
Tasbeeh Ki Soorat,

Saansain Meri,

Raat Hai In Akhiyoon
Main Gehri,

Soch Le Jaana !

Deep Agar Yeh Bujh
Jaa'ein Toh,

Kon Tera Rassta
Dekhega?

Har Su Kon Tujhe
Dhoondega?

Aik Saraab Na Ban'ne
Daina,

Jeevan Khawaab Na
Ban'ne Daina..............!

Book Name
Palkain Bheegi Bheegi See
Page No 95-95


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai