Shehar Ke Dukandaro Karobaar-E-Ulfat Mein Sood Kia Zian Kia Hai, Tum Na Jaan Pao Gay


Shehar Ke Dukandaro Karobaar-E-Ulfat Mein Sood Kia Zian Kia Hai,
Tum Na Jaan Pao Gay
Dil Ke Daam Kitne Hein Khuwab Kitne Mehnge Hein Aur Naqd-E-Jaan Kia Hai
Tum Na Jaan Pao Gay
Koi Kaisay Milta Hai Phool Kaisay Khilta Hai Aankh Kaisay Jhukti Hai

Saans Kaisay Rukti Hai
Kaisay Reh Nikalti Hai Kaisay Baatein Chalti Hai Shouq Ki Zabaan Kya Hai,
Tum Na Jaan Pao Gay

Wasl Ka Sukoon Kya Hai, Hijr Ka Junoon Kya Hai,Husn Ka Fusoon Kya Hai,
Ishq Ke Daroon Kya Hai
Tum Mareez-E-Danai Maslihat Ke Shaydai Raah-E-Gumrahan Kya Hai
Tum Na Jaan Pao Gay

Zakhm Kaisay Phaltay Hein Daagh Kaisay Jaltay Hein Dard Kaisay Hota Hai
Koi Kaisay Rota Hai
Ashk Kia Hai Nalay Kia Dasht Kia Hai Chalay Kia Aah Kia Fughaan Kya Hai,
Tum Na Jaan Pao Gay

Namuraad Dil Kaisay Subah Shaam Kartay Hein Kaisay Zinda Rehtay Hein
Aur Kaisay Martay Hein
Tum Ko Kab Nazar Aayi Ghamzadoon Ki Tanhai Zeest Be-Umaan Kia Hai,
Tum Na Jaan Pao Gay
Janta Hoon Mein Tum Ko Zouq-E-Shaiyri Bhi Hai Shaksiyat Sayjanay Mein
Ik Yeh Mahiri Bhi Hai
Phir Bhi Harf Chuntay Ho Sirf Lafz Suntay Ho In Ke Darmiyaan Kya Hai,
Tum Na Jaan Pao Gay

JAVED AKHTER


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai