Surmayi aankhon ke neeche phool se khilne lage kehte kehte kuchh kisi ka sochna achchha laga

Bheer mein ek ajnabi ka saamna, achchha laga,

sab se chhup kar woh kisi ka dekhna ,achchha laga.

Surmayi aankhon ke neeche phool se khilne lage

kehte kehte kuchh kisi ka sochna achchha laga

Baat toh kuchh bhi nahin thi lekin uss ka ek dum

haath ko honthon pe rakh kar rokna achcha laga

Chaai mein cheeni milaana uss ghari bhaya bahut

zer-e-lab woh muskurata, shukriya achchha laga

Dil mein kitne ahad baandhe the bhulane ke usey

 woh mila toh sab iraade torna achchha laga

Neem shab ki khamoshi mein bheegti sarakon pe kal

 teri yaadon ke jaalo mein ghoomna achchha laga

Uss udu-e-jaan ko amjad main bura kaise kahun

 jab bhi aaya saamne woh bewafa achchha laga

Amjad Islam Amjad

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo