Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha mohabbat bhi zaroori thi, bichharna bhi zaroori tha


Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha

mohabbat bhi zaroori thi, bichharna bhi zaroori tha

Zaroori tha ki hum dono tawaaf-e aarzoo karte

magar phir aarzuon ka bikharna bhi zaroori tha

Wohi hain sooraten apni, wohi main hun, wohi tum ho

magar khoya hua hun main, magar tum bhi kahin gum ho

Mohabbat mein daghaa ki thi, so kaafir the, so kaafir hain

mili hain manzilen phir bhi musaafir the, musaafir hain

Tere dil ke nikaale hum kahaan bhatke, kahaan pahunche

magar bhatke toh yaad aaya, bhatakna bhi zaroori tha


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha