Tumhari aankhein kehti hain hisaar-e-zaat se niklo Tammana meri ban jaao, shab-e-barbaad se niklo


Tumhari aankhein kehti hain hisaar-e-zaat se niklo

Tammana meri ban jaao, shab-e-barbaad se niklo

Kinara thaam lo dil ka, bhula do sab gile-shikwe

Kabhi sacchi hansi hans do, puraani yaad se niklo

Khyaal-e-yaar accha hai, magar jis ne wafa na ki

Palat kar phir sadaa na do, dar-e-fariyaad se niklo

Aaj ki raat ka pehlu achaanak hum se kehta hai

Saja lo aankh mein sapne, udaas raat se niklo

Nahin tum ko ganwara ab humara qurb to keh do

Humare qarb ki chhoro ,tum iss azaab se niklo


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo