zara soch kar samajh kar mujhe sogwaar karna Usey dhoond sab se pehle jo mila nahin hai tujh ko


Ghum-e-hijr se na dil ko kabhi hum-kinaar karna

main phir aaunga palat kar mera intezaar karna

Mujhe dar hai mere aansoo teri aankh se na jhalken

zara soch kar samajh kar mujhe sogwaar karna

Usey dhoond sab se pehle jo mila nahin hai tujh ko

ye sitaare aasmaan ke kabhi phir shumaar karna

Mere shehar ki fiza mein koi zehar bhar gaya hai

tere husn par hai laazim usey khushgawaar karna

Main uthaaungaa na ehsaan tere baad na-khuda ka

mujhe tu ne hi duboya mujhe tu hi paar karna

Mere badnaseeb saathi teri zindagi hi kya hai

na kisi se dil lagaana na kisi se pyaar karna

Kabhi iqtidaar bakhshe jo khuda qateel tujh ko

jo rawish hai qaatilon ki woh na ikhtiyaar karna

Qateel Shifai


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo