Chemotherapy Tarey kemyaee ilaj ne Mujhey zindagi mein mita dea


Chemotherapy
Tarey kemyaee ilaj ne
Mujhey zindagi mein mita dea
Merey shokh zinda wajood ko
Merey hasraton mein daba dea
Merey sarey zinda mubahisey
Merey Arzoo merey walwaley
Merey guftagoo merey justajoo
Merey zindagi merey kehkahey
Sabhi daldalon mein utar gae
Sabhi shokh rang bhar gae
Na mohabatoon mein saqat rahey
Na rafaqaton mein bharam reha
Na he dosti mein janoon reha
Na dukhey zamaney ka gham reha
Merey tootey phootey wajood mein
Koi na tawani se bas gae
Faqat iss shikasta wajood mein
Kahein cheekh hae kahein haey hae
Mera asno asno tarap tarap
Na suney koi na sunaey hae
Mein shakeeb e tan ye raqeeb jaan
Ye ilaaj qeemya ilaaj hae
Merey charagar ko khabar kero
Ye ilaj hae keh kheraaj hae
Merey keemyae wajood mein
Mera apna aap bikhar gea
Jisey mein bachaney ko lae thee
Wo mera wajood khidher gea
  Poetess:
BIQUIS MAHMOOD 
From her book mujhey bolney do

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo