Chubne Lage Hain Khawab, December Se Pehle Aa, Dharrkan Bani Azaab, December Se Pehle Aa


Poet: Shahzad Qais
Type By
*._.Murtaza._*
Chubne Lage Hain
Khawab, December
Se Pehle Aa,
Dharrkan Bani Azaab,
December Se Pehle Aa,
Tanhai, Qatal Gaah
Main, Le Ja Chuki Ae
Dost!
Hoti Ho Kamiaab
December Se Pehle
Aa,
Thandi Tareen Raat,
Adawat Pe Aa Ga'ee,
Pur Mehar-E-Mahtaab,
December Se Pehle
Aa,
Karwat Badal Badal
Ke, Katte Kaise Sard
Shab,
Hairat Main Hai Shabab,
December Se Pehle Aa,
Saanson Ka Qaraz,
Tanha Utarainge Kab
Talak,
Hargiz Nahi Hai Taab,
December Se Pehle Aa,
Hassrat Hai, Saal-E-Nu
Ki Shuru'aat Tum Se
Ho,
Khush Bakhat Aaftab
December Se Pehle
Aa,
Aankhon Main Chalne
Phirne Lage
Ankaboot-E-Gham,
Lab Par Hai Iztaraab
December Se Pehle
Aa,
Shajr-E-Qaraar Se
Girain, Ashkoon Ki
Tittliyaan,
Gum Sum Hue Gullaab,
December Se Pehle Aa,
Haathon Ko Jorr Kar,
Ose Tassveer Bhej Di,
Khatt Ka Na De Jawab,
December Se Pehle Aa,
Likha Biyaaz-E-Ashak
Main, Jee Bhar Ke Raat
"QAIS"
Aashoob-E-Jaan Ka
Baab, December Se
Pehle Aa......................!
Book Name
December Ke Baad Bhi
Page 31-32

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha