Chup Na Rehte Bayaan Ho Jaate Tujh Se Gar Bud-Gumaan Ho Jaate


Chup Na Rehte Bayaan Ho Jaate
Tujh Se Gar Bud-Gumaan Ho Jaate

Zabt-E-Gham Ne Bacha Liya Varna
Hum Koyi Daastaan Ho Jaate

Tu Ne Dekha Nahin Palat Ke Hamein
Varna Hum Meharbaan Ho Jaate

There Dil Ki Zameen Hi Na Mili
Varna Hum Aasmaan Ho Jaate

 

ﭼُﭗ ﻧﮧ ﺭﮨﺘﮯ ﺑﯿﺎﻥ ﮨﻮﺟﺎﺗﮯ
ﺗﺠﮫ ﺳﮯ ﮔﺮ ﺑﺪﮔُﻤﺎﻥ ﮨﻮﺟﺎﺗﮯ
ﺿﺒﻆِ ﻏﻢ ﻧﮯ ﺑﭽﺎ ﻟﯿﺎ ﻭﺭﻧﮧ
ﮨﻢ ﮐﻮﺋﯽ ﺩﺍﺳﺘﺎﻥ ﮨﻮﺟﺎﺗﮯ
ﺗُﻮ ﻧﮯ ﺩﯾﮑﮭﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﭘﻠﭧ ﮐﮯ ﮨﻤﯿﮟ
ﻭﺭﻧﮧ ﮨﻢ ﻣﮩﺮﺑﺎﻥ ﮨﻮ ﺟﺎﺗﮯ
ﺗﯿﺮﮮ ﺩﻝ ﮐﯽ ﺯﻣﯿﻦ ﮨﯽ ﻧﮧ ﻣِﻠﯽ
ﻭﺭﻧﮧ ﮨﻢ ﺁﺳﻤﺎﻥ ﮨﻮ ﺟﺎﺗﮯ


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai