Humein tum sy mohabbat hai Hum saada dill Aur anna k qaidi


Humein tum sy mohabbat hai

Hum saada dill

Aur anna k qaidi

Mohabbat k mutalaashi

Ankhon mein chahat k deep jalaey

Kisi ki ik nazar e iltyfaad par

Jaan sy guzar jaany waly

Kisi sy chup chaap bichar jaany par

Raaton ko chup chup k roony waly

Iss dill e khamosh par

Iss sada dill par

Odaasi k zakham lagany waly

Chand lafz zaban sy keh dyty

Tu sabhi pachtawy chath jaaty

Kash k us sy keh dyty

Kash k us sy keh paaty

Humein tum sy mohabbat hai


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai