Skip to main content
Khuwaab Le Lo Khuwaab Saab Khuwaab Le Lo Khuwaab Buhat Haseen Aur Dilkash Hain Mere Khuwaab

Poet:Ayaz Khan
Khuwaab Le Lo Khuwaab
Saab Khuwaab Le Lo Khuwaab
Buhat Haseen Aur Dilkash Hain Mere Khuwaab
In Khuwaabon Ki Koi Qeemat To Nahi
Par Muflisi Ne Is Qadar Bad-Haal Kar Diya Hai
Keh Khuwaabon Ke Siwa Mere Paas Baichney Ke Liye Kuch Nahi
Main Ne Ye Khuwaab Bachpan Se Jawani Tak
Jawani Se Zindagi Ki Aakhri Saanson Tak Dekhein Hain
Mere Ye Anmol Khuwaab Jo Meri Zindagi Ka Hasil Hain
Buhat Majboor o Laachaar Ho Kar Ye Khuwaab Baichney Aaya Hon
Koi Hai Jo Mujh Se Ye Mere Ye Haseen Aur Anmol Khuwaab Kharidey
Khuwaab Le Lo Khuwaab
Saab Khuwaab Le Lo Khuwaab
Buhat Haseen Aur Dilkash Hain Mere Khuwaab
شاعرایازخان
خواب لےلوخواب
صاحب خواب لےلوخواب
بہت حسین اور دلکش ھیں میرے خواب
اِن خوابوں کی کوئی قیمت تو نہیں
پر مُفلسی نے اِس قدربدحال کردیا ھے
کے خوابوں کے سوا میرے پاس بیچنے کے لیے کچھ نہیں
میں نے یہ خواب بچپن سے جوانی تک
جوانی سے زندگی کی آخری سانسوں تک دیکھیں ھیں
میرے یہ انمول خواب جو میری زندگی کا حاصل ھیں
بہت مجبور لاچار ھو کر یہ خواب بیچنے آیا ھوں
کوئی ھے جو مجھ سے میرے یہ حسین اور انمول خواب خریدے
خواب لےلو خواب
صاحب خواب لے لو خواب
بہت حسین اور دلکش ھیں میرے خواب
Comments
Post a Comment