mujhse kaafir ko tere ishq ne yuun sharmaayaa dil tujhe de ke dharkaa to Khuda yaad aaya


mujhse kaafir ko tere ishq ne yuun sharmaayaa
dil tujhe de ke dharkaa to Khuda yaad aaya

chaaraagar aaj sitaaron kii qasam khaa ke bataa
kisne insaan ko tabassum ke liye tarsaayaa

nazr kartaa rahaa main phuul ke jazbaat use
jisne patthar ke khilonon se mujhko bahlaayaa

usne andar ko’ii fankaar chhupaa baithaa hai
jaante-buujhte jis shaks ne dhokaa khaayaa

 (Ahmad Nadeem Qasmi)


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo