Naam Sunta Hoon Tera Jab Bharray Sansaar K Beech Lafz Ruk Jaatay Hain Aa Kar Meri Guftaar K Beech


Naam Sunta Hoon Tera Jab Bharray Sansaar K Beech

Lafz Ruk Jaatay Hain Aa Kar Meri Guftaar K Beech

Dil Ki Baaton Main Na Aa Yaar K Is Basti Main

Rooz Dil Waalay Chunnay Jaatay Hain Diwaar K Beech

Aik He Chehra Kitaabi Nazar Aata Hai Humen

Kabhi Aashaar K Bahir Kabhi Aashaar K Beech

Aik Dil Toota Magar Kitni Naqaaben Paltin

Jeet K Pehlo Nikal Aaye Keye Haar K Beech

Koi Mehfil Ho Nazar Is Ki Hamen Par Thehri

Kabhi Apno Main Sataya Kabhi Agiyaar K Beech

Aisay Zahid Ki Qayadat Mian Touba Touba

Kabhi Emaan Ki Baaten, Kabhi Kuffar K Beech

Kabhi Tehzeeb-O-Tamadun Ka Yeh Markaz Tha Mian

Tum Ko Basti Jo Nazar Aati Hai Asaar K Beech

Jis Tarhan Taat Ka Pewand Ho Makhmal Main Mohsin

Magrabi Chaal Chalan Mashraqi Iqdaar K Beech


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo