Yeh arzoo hai k jab bhi galy lagaon ussy Hisaar e zaat sy bahar nikal laon ussy


Yeh arzoo hai k jab bhi galy lagaon ussy

Hisaar e zaat sy bahar nikal laon ussy

Wo jal raha tha Kari dhoop ki tamazat mein

Mila jo ab tu orahon ga apni chaown ussy

Yeh ishq bhi hai ajab imtyhaan e ehd wafa

Wo azmaey mujhy aur mein azmaon ussy

Wo shehr shehr chiraghan sahi magar ik din

Hawaein yaad dilaeingi apna gaon ussy

Wo apny khaab mein shayad mujhi ko daikhta hai

Mein tishna lab sahi sooty mein kia jagaon ussy


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo