Yeh samandar hai kinaare hi kinaare jaao Ishq har shakhs ke bas ka nahin pyaare jaao


Yeh samandar hai kinaare hi kinaare jaao

Ishq har shakhs ke bas ka nahin pyaare jaao

Dil ki baazi lagey phir jaan ki baazi lag jaaye

Ishq mein haar ke baitho nahin, haare jaao

Doobna ho ga agar doobna taqdeer mein hai

Chaahey kashti pe raho chaahey kinaare jaao

Tum hi socho bhala yeh shouq koyi shouq hua

Aaj oonchaayi pe baitho, kal utaarey jaao

Koyi rasta koyi manzil usey dushvaar nahin

Jis jagaah jaao mohabbat ke sahaare jaao


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai