Goya Andaaz-e-Taazeem Hai Ameeron Jaisa Mere Ander Ka Hai Insaan Faqeeron Jaisa


Goya Andaaz-e-Taazeem Hai
Ameeron Jaisa
Mere Ander Ka Hai Insaan Faqeeron Jaisa
Ham Ne Chehray Pe Sajaa
Rakhi Hai Sheher Ki Ronaq
Dil Ka Aalam Hai Veeraan
Jazeeron Jaisa
Us Ke Ausaaf-o-Khasaail Ne
Mujhe Jeet Lia
Meray Mureedon Mein Tha
Shakhs Wo Peeron Jaisa
Is Se Pehlay Thi Aseeri Bhi
Rehaayi Jaisi
Ab Ke Aazaadi Mein Hai Haal
Aseeron Jaisa
Us Ko Ganwa Ke Hain
Khasaaray Ab Tak Mohsin
Wo Jo Ik Shakhs Mere Saath
Tha Heeron Jaisa.....!!

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai