Junoon Main Shauq Ki Gehraiyon Se Darta Raha Main Apni ZaaT Ki Sachaiyon Se Darta Raha


Junoon Main Shauq Ki Gehraiyon Se Darta Raha
Main Apni ZaaT Ki Sachaiyon Se Darta Raha

Mohabton Se Shanasa Huwa Main Jis Din Se
Phir Us K Baad Shanasaiyon Se Darta Raha

Wo Chahta Tha K Tanha Miloon To Baat Kre
Main Kya Krun K Main Tanhaiyon Se Darta Raha

Mein Regzaar Tha Mujh Main Basay Thay Sanaatay
Isi Liye To Main Shehnaiyon Se Darta Raha

Main Apne Baap Ka Yousuf Tha is Liye,,,, Mohsin
Sakoon Se So Na Saka,,,, Bhaiyon Se Darta Raha


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai